Shayari

kuch khas kaho na

kehti hai wo humse aaj kuch khas kaho na,
Le k alfaso ka sahar mujhe bus apna kaho na,
Le k mera hath apne hatho mai,Maire pass rho na.
kehti hai wo humse aaj kuch khas kaho na.

Keh k suno na .. mujhse apni baate kehelvati hai,
Khud Muskura kr mujhe khus kr jati hai.
Itne dur kyu ho tum, maire pass aakr betho na,
Le kr mera sir apni godi mai, kehti hai wo humse aaj kuch khas kaho na, 

Le kr alfaso ka sahar mujhe bus apna kaho na,

Khus nasib hu mai ki tumara pyaar mila hai mujhe,
Kuch khas hai aaj tumse kehna,le k alfazo ka sahara tumhe apna hai kehna..

Meri Khushi Mera ehsas ho,
Mere palko mein ashkon ki pyas ho,
Mere sine mein chalti un dhadkanon ki darkaar ho,
Kis alfaz mein bayan karun Tum mere liye Kitni khaas ho.

kehti hai wo humse aaj kuch khas kaho na,
Le kr alfaso ka sahar mujhe bus apna kaho na,

Lehre

Lehro Ki In Shore Mai, Mai Kho Sa Gaya Tha,
Unko Baho Mai Leye Mai So Sa Gaya Tha,
Ek Tarf Baho Mai Hone Ki Khushi Tho Dusre Pal Khone Ka Khauf Tha,
Lehro Ki In Shore Mai Mai Kho Sa Gaya Tha..!
Iskadar Khoe The Ki Lehro Ne Kadam Chum K Uthane Ki Koshish Ki.,
Dubte Suraj Ne Bhi Waqt Ki Or Ishara Kr Gaya.
Par Hume Tho Unke Baho Mai Na Hone Ka Bhi Hosh Na Rha,
Kya khe, Lehro Ki In Shore Mai Mai Kho Sa Gaya Tha..!

Chula

Ek khani hai maire bachpan ki,
Kuch yaade hai jo laut aae hai,
Kuch yaad aajae tho bata dena,
Aakho mai aasu aae tho hata dena. 
 
Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae tho bata dena
Aaj bhook lagi hai maa, aisa shor machaya tha,
Ki maa ne mujhe aaj chule ki pass bithaya tha,
Hatho mai lakdi leye maine, muh pe chuppi lagai thi,
Kitna alaga the wo drishya jub maine chule mai aag jalai thi
 
Thand ka mausam tha tho aaj subne rasoi mai dera jamaya tha,
Bhook tho ab bhaut lagi thi, pr sub ko sath dekh aaj maan bhar aaya tha,
Bahane tho bhaut the pr aaj chule ne hume sath bethaya tha.
 
Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae tho bata dena
 
kuch he palo mai jaise palat se gai thi tasveer,
Ab takdeliya nazar aane lagi the,
lakdio se koile tk ka safar wo tey kr aae thi.
Dar is baat ka the ki khi ye chule ki aag fir se bujh na jaae,
Badi mushkil se sath bethe hai kahi fir se apno ka sath choot na jaae.. 
 
Ab sehm sa gaya tha mer dil, hale dil shyed baya bhi na kr paau,
Aag ab bujh se gai thi, charo taraf dhuva he dhuva tha,
Aakho mai nami the bus ek he baat ki kami thi,
Chule mai fir se aag jalaae jae, fir se sub kaise pass bulaya jaae.
 
Fir maano ek chamatkar sa huva,
Maa ne un koilo mai fook ke fir aag ko bhadkaya tha,
Ab chaat sa gaya tha andhera, fir umeed jagaae thi,
Maano kise ne marte huve ko apni saas de kr maut k mu se khich lae thi,
 
Kuch khas tha wo manzar,
jub chule ne hume sath bethaya tha.
 
Ab dhuva tho chhat chukka tha, Chere pe muskaan fir laut aae hai.
 
Aakhe aaj fir num hai,
Kyu ki aaj fr chula dekh mujhe un sub ki yaad aae hai.
Pr shyed aaj fir sub Dhuve mai maano sub kho se gai hai
 
Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae the bata dena

Waqt.

Rakh Hosla Tera Waqt Bhi Aayega,

Guzara Lamha Bhi Sawar Jayega,

Taqdiliya Hogi Is Kadar Teri Har jeet Mein,

Ki Itihas Mein Bhi Tera Naam Dohraya Jaega.

Rakh Hosla Tera Waqt Bhi Aayega

Guzara Lamha Bhi Sawar Jayega.

Yeah Daud Hai Teri Khud Se,

Thoda Aur Khud Ko Samjha Le

Jo Thokar Kha Ke Chot Lagi Hai,

Usse Jeet Ka Marhum Laga De.

Is Waqt Ko Bhi Apna Le,

To Wo Waqt Bhi Tera Kehlaega,

Aaj Haar Gaya To Fir Bhi Tu Kal Jeet Ka Parcham Lehraega

Rakh Hosla Tera Waqt Bhi Aayega

Guzara Lamha Bhi Sawar Jayega

Khamosh Alfaaz